Skip to main content

Reply to "FOREVER MOHD RAFI:"

FOREVER MOHD RAFI:

MOHD RAFI: VOLUME 9: NUMBER 116 - 130

 

MOVIE : AADMI: 1968

SINGER: RAFI & TALAT MAHMOOD

MUSIC : NAUSHAD

LYRICS: SHAKEEL BADAYUNI

 

120) KAISE HASEEN AAJ BAHARON KI RAAT: AADMI 1968

http://www.mastimag.com/download.php?song_id=29968

 

Kaisi Haseen Aaj Bahaaro Ki Raat Hai
Ek Chaand Aasmaan Pe Hai, Ek Mere Saath Hai
O Dene Waale Tune To Koyi Kamee Na Kee
Abb Kisko Kya Mila, Yeh Muqaddar Ki Baat Hai

 

Chhaaya Hai Husno Ishq Pe Ek Range Bekhudi - 2
Aate Hai Jindagi Mein Yeh Aalam Kabhi Kabhi
Har Ghum Ko Bhul Jaao, Khushi Ki Baaraat Hai
Ek Chaand Aasmaan Pe Hai, Ek Mere Saath Hai

Aayi Hai Woh Bahaar Ke Nagame Ubal Pade
Aisi Khushi Mili Hai Ke Aansoo Nikal Pade
Honto Pe Hai Duwaaye, Magar Dil Pe Haath Hai
Abb Kisko Kya Mila, Yeh Muqaddar Ki Baat Hai

Masti Simat Ke Pyaar Ke Gulshan Mein Aa Gayi - 2
Meri Khushi Bhi Aapke Daaman Mein Aa Gayi
Bhavra Kali Se Dur Nahi, Saath Saath Hai
Abb Kisko Kya Mila, Yeh Muqaddar Ki Baat Hai


Kaisi Haseen Aaj Bahaaro Ki Raat Hai
Ek Chaand Aasmaan Pe Hai, Ek Mere Saath Hai

 

This song was originally recorded with Talat Mahmood and Mohammed Rafi but Manoj Kumar replaced Talat Mahmood's voice with Mahendra Kapoor's voice in the film. - See more at: http://myswar.com/song_details...seen-aaj-baharon-ki-

FM
Last edited by Former Member
×
×
×
×
×
×