Skip to main content

MALAIKA-E-TARANNUM: QUEEN OF MELODIES

Jugnu 1947 film poster.jpg 

MOVIE : JUGNU  1947

SINGER: MOHD RAFI AND NOOR JAHAN

MUSIC :  FEROZE NIZAMI

LYRICS:  SHAKEEL BADAYUNI

6) YAHAAN BADLA WAFA KA BEWAFAAI

http://www.mastimag.com/download.php?song_id=46838

(Yahaan badlaa wafaa kaa bewafaai ke siwaa kyaa hai)2

Mohabbat karke bhi dekhaa, mohabbat mein bhi dhokhaa hai

Kabhi sukh hai, kabhi dukh hai, abhi kyaa thaa, abhi kyaa hai
Yoon hi duniyaa badalti hai, isi kaa naam duniyaa hai
Kabhi sukh hai, kabhi dukh hai, abhi kyaa thaa, abhi kyaa hai
(Tadapne bhi nahin deti, hamein majbooriyaan apni)2

Yahaan badlaa wafaa kaa bewafai ke siwaa kyaa hai

Yoon hi duniyaa badalti hai, usi kaa naam duniyaa hai

Kabhi sukh hai, kabhi dukh hai, abhi kyaa thaa, abhi kyaa hai

Mohabbat karke bhi dekha mohabbat me bhi dhokha hai

Bhula do wo jamaana jab mujhe apna banaya tha

Bhulaa do munh mein ulfat jab tumhaare lab pe ayaa thaa

Bhula do wo qasam jo dilayi thi kabhi tumne
Bhula do wo qasam jo ke khai thi kabhi tumne

Bhulaa do dil se tum guzare huea rangeen zamaane ko
Bhulaa do, haan bhulaa do ishq ke sazaa fasaane ko

Tamannaaon ki basti mein, andheraa hi andheraa hai
Kise apnaa kahen koi jo apnaa thaa paraayaa hai
Yoon hi duniyaa badalti hai, isi kaa naam duniyaa hai
Kabhi sukh hai, kabhi dukh hai, abhi kyaa thaa, abhi kyaa hai

Mohabbat karke bhi dekha mohabbat me bhi dhokha hai

Yahaan badlaa wafaa kaa bewafaai ke siwaa kyaa hai

FM

MALAIKA-E-TARANNUM: QUEEN OF MELODIES

MOVIE :

SINGER:NOOR JAHAN

MUSIC :

LYRICS: TASLEEM FAZLI

7) HAMARI SASOON MEIN AAJ TAK:

http://www.mastimag.com/download.php?song_id=12120

Hamari saanson mein aj tak woh heena ki khushbho mehak rahi hai)2

In my breath, the scent of henna is still lingering today

(Labon pe naghme machal rahe hain)2 nazar se masti jhalak rahi hai

On my lips, songs are dancing, in my looks, mischief is twinkling

Hamari saanson mein aj tak woh heena ki khushbhoo mehak rahi hai In my breath, the scent of henna is still lingering today

(Woh mere nazdeek aate aate hayaa se ek din simat gaye they)2 Inching towards me, he shly gathered himself

(Mere khayalo-n mein aaj tak woh badan ki daali latak rahi hai)2

Till today, in my thoughts his body's youthfulness is swaying

Hamari saanson mein aaj tak woh heena ki khushbho mehak rahi hai In my breath, the scent of henna is still lingering today

(Sada jo dil se nikal rahi hai woh shero-naghmon mein dhal rahi hai)2

This cry coming from my heart finds its way in verses and songs

(Ke dil ke angan mein jaise koi ghazal ki dhandhar khanak rahi hai)2

As if in the lap of my heart, the beat of a poem is throbbing

Hamari saanson mein aaj tak woh heena ki khushbhoo mehak rahi hai In my breath, the scent of henna is still lingering today

(Tadap mere bekharar dil ki kabhi To un-pay asar kareygi)2

My restless heart's tremor will surely affect him one day

(Kabhi to woh bhi jalengay isme jo aag dil main dahek rahi hai)2

Some day, he too will burn in the fire that in my heart is smouldering

Hamari saanson mein aj tak woh heena ki khushbhoo mehak rahi hai In my breath, the scent of henna is still lingering today

Labon pe naghme machal rahe hain nazar se masti jhalak rahi hai

On my lips, songs are dancing, in my looks, mischief is twinkling

Hamari saanson mein aj tak woh heena ki khushbhoo mehak rahi hai

In my breath, the scent of henna is still lingering today

Trans: Ayesha Kaljuvee

FM
Last edited by Former Member

MALAIKA-E-TARANNUM: QUEEN OF MELODIES

MOVIE : 

SINGER: NOOR JAHAN

MUSIC :

LYRICS: NASIR KAZMI

8) DIL DHARAKNE SE SABAB YAAD AYA

http://www.mastimag.com/download.php?song_id=13655

(Dil dhadakne  ka sabab yaad aya)3

It came to me, the reason my heart beats

Wo teri yaad thi ab yaad aya

It was your memory, I just remembered

Dil dhadakne  ka sabab yaad aya

It came to me, the reason my heart beats

(Aj mushkil tha sanmbhal na.. ae dost)2

Today was hard, my friend, lend me a hand

Tu musibat mein ajab yaad aya

In my troubles, you came to mind

Wo teri yaad thi ab yaad aya

It was your memory, I just remembered

Dil dhadakne  ka sabab yaad aya

It came to me, the reason my heart beats

(Din guzara tha badi mushkil se)2

The day went by with much difficulty

Phir tera wada-e-shab yaad aya

Again, I remembered the night you promised me

Wo teri yaad thi ab yaad aya

It was your memory, I just remembered

(Dil dhadakne  ka sabab yaad aya)

It came to me, the reason my heart beats

(Haal-e-dil hum bhi sunate lakin)2

I too, would have told her how my heart felt,

Jab wo rukhsat huwe, tab yaad aya

But I only remembered after she left

Wo teri yaad thi ab yaad aya

It was your memory, I just remembered

Dil dhadakne  ka sabab yaad aya

It came to me, the reason my heart beats

Baith kar saaya-e-gul me "Nasir"

Sitting in the shadow of the flowers

Hum bahut roye, wo jab yaad aya.

I wept a lot, when her memory came to me

Wo teri yaad thi ab yaad aya

It was your memory, I just remembered

(Dil dhadakne  ka sabab yaad aya)

It came to me, the reason my heart beats

----------------- NOT IN THE RECORDING

Phir kaiee log nazar se guzray

Again, everyone passed by me unseen,

phir koi shehar-e-tarab yaad aya

And again, I remembered that joyous place

Trans: Venkat

FM
Last edited by Former Member

MALAIKA-E-TARANNUM: QUEEN OF MELODIES

MOVIE :

SINGER: NOOR JAHAN

MUSIC :

LYRICS: OBAIDULLAH ALEEM

9) TERE PYAR MEIN RUSWA HOKAR

http://www.mastimag.com/download.php?song_id=13645

(Tere pyar mein ruswa ho kar jaayein kahan deewanay log)2
Ruining their reputation in your love, where are these

crazy people supposed to go?
Jaanay kya kya poochh rahe hain ye jaanay pehchaanay log
Wonder what kind of questions their peers/friends are

asking from them?

Tere pyar mein ruswa ho kar jaayein kahan deewanay log

Ruining their reputation in your love, where are these

crazy people supposed to go?

(Jaisay tumhe humne chaha tha koun bhala yun chahayga)2
The way I have loved you, tell me, who is going to love

you that way?
Maana aur bohat ayenge tumse pyar jataanay log
I agree many more will come to express their love to you,

(my love is the strongest)
Jaanay kya kya poochh rahe hain ye jaanay pehchaanay log
Wonder what kind of questions their peers/friends are

asking from them?

Tere pyar mein ruswa ho kar jaayein kahan deewanay log
Ruining their reputation in your love, where are these crazy

people supposed to go?

(Kalma tam bay qeemat hoga aaj inki touqeer karo)2

Tomorrow the grief will be unimportant, lets observe

the ceremonies today

Dekho khoon-e-jigar se kya kya likhte hain afsanay log

Let see what kind of stories people write about my

descimated heart

Jaanay kya kyia poochh rhe hain ye jaanay pehchaanay log

Wonder what kind of questions their peers/friends are

asking from them?

Tere pyar mein ruswa ho kar jaayein kahan deewanay log

Ruining their reputation in your love, where are these

crazy people supposed to go?

(Kaise dukhon ke mousam aaye, kaisi aag lagi yaaro)2
What is this season of sorrow, what is this fire, my friend?
(Kab sehraaon se laatay hain)2 phulonke nazraanay log
Since when have the people getting gift of flowers from the desert

Jaanay kya kya poochh rhe hain ye jaanay pehchaanay log
Wonder what kind of questions their peers/friends are

asking from them?
Tere pyar mein ruswa ho kar jaayein kahan deewanay log
Ruining their reputation in your love, where are these

crazy people supposed to go?

Jaanay kia kia poochh rhe hain ye jaanay pehchaanay log

(Jaisay tumhe humne chaha tha koun bhala yun chahay ga)2
(Maana aur bohat ayenge)2 tumse pyar jataanay log

Jaanay kia kia poochh rhe hain ye jaanay pehchaanay log
Wonder what kind of questions their peers/friends are

asking from them?

Tere pyar mein ruswa ho kar jaayein kahan deewanay log
Ruining their reputation in your love, where are these

crazy people supposed to go?

Trans:Ranjana:

FM
Last edited by Former Member

MALAIKA-E-TARANNUM: QUEEN OF MELODIES

MOVIE : TARRANUM (1980 - 81)

SINGER: NOOR JAHAN

MUSIC :  NAZEER ALI

LYRICS: KWAJA PARVAIZ

10) JO NA MIL SAKE WOHI BEWAFA   

http://www.mastimag.com/download.php?song_id=13654

Jo na mil sakay wohi bewafa, yeh barri ajeeb si baat hai

Jo chala giya mujhe chor kar, wohi aaj tak mere saath hai

Jo kisi nazar se adaa hui, wohi roshni hai khayaal mein

Woh na aa sakey rahon muntazir, yeh khalish kahan thi wisaal mein

Meri justaju ko khabar nahin, na woh din rahe na woh raat ha

Jo chala giya mujhe chor kar, wohi aaj tak mere saath hai

Kare pyar aur lab pe gila na ho, yeh kisi kisi ka naseeb hai

Yeh karam hai uska jafaa nahin, woh juda bhi reh ke kareeb hai

Wohi aankh hai mere ru-ba-ru, ussi haath mein mera haath hai

Jo chala giya mujhe chor kar wohi aaj tak mere saath hai

Mera naam tak jo na le saka, jo mujhe qaraar na de saka

Jissey ikhtiyaar to tha magar, mujhe apna pyar na de saka

Wohi shaks mairi talaash hai, wohi dard mairi hayyaat hai

Jo chala giya mujhe chor kar, wohi aaj tak mere saath hai

Jo na mil sakey wohi bewafa, yeh bari ajeeb si baat hai

Jo chala giya mujhe chor kar, wohi aaj tak mere saath hai

.

FM
Last edited by Former Member

MALAIKA-E-TARANNUM: QUEEN OF MELODIES

MOVIE : IK SITAM AUR SAHI

SINGER: NOOR JAHAN

MUSIC :

LYRICS:

11) HUM JAHAAN ITNE KAHAY  

http://www.mastimag.com/download.php?song_id=12115

Gam jahaan itane sahe, ek gam aur sahi - 2
Aaj apanon ke liye, dil ke tukadon ke liye
Ek sitam aur sahi

Gam jahaan itane sahe, ek gam aur sahi Aaj apanon ke liye, dil ke tukadon ke liye Ek sitam aur sahi Gam jahaan itane sahe, ek gam aur sahi
Aaj phir ruup sajaaya ke karidaar milein - 2 Phir naye kuunche milein, phir naye baazaar milein Kal talak naache the ham saare zamaane ke liye Aaj ham gaayenge taqadir banaane ke liye Dil jahaan zakmi huwa, aankh nam aur sahi Aaj apanon ke liye, dil ke tukadon ke liye Ek sitam aur sahi Gam jahaan itane sahe, ek gam aur sahi Aa Kyuun na ham bechein adaayein ke tawaayef hain ham - 2 Kyuun na baazaar sajaayein ke tawaayef hain ham Mil nahin sakata hamein koyi sharifon mein maqaam Kisaliye phir na karein apane badan ka nilaam Behayaayi ki taraf ek qadam aur sahi Aaj apanon ke liye, dil ke tukadon ke liye Ek qadam aur sahi Gam jahaan itane sahe, ek gam aur sahi Aaj apanon ke liye, dil ke tukadon ke liye Ek sitam aur sahi Gam jahaan itane sahe, ek gam aur sahi

FM
Last edited by Former Member

MALAIKA-E-TARANNUM: QUEEN OF MELODIES

MOVIE : 

SINGER: NOOR JAHAN

MUSIC :  KHALIL AHMAD

LYRICS: ALLAMA IQBAL

12) HAR LEHZA HAI MOMIN KI NAYE SHAAN

http://www.mastimag.com/download.php?song_id=12109

Har Lehza Hai Momin Ki Nayi Shan, Nayi Aan
Guftar Mein, Kirdar Mein, Allah Ki Burhan!

A Muslim true gets grandeur new with moment's change and every hour:
By words and deeds he gives a proof of Mighty God, His reach and power.

Qahhari-o-Ghaffari-o-Quddusi-o-Jabroot
Ye Char Anasir Hon To Banta Hai Musalman

To rout the foes, to grant them reprieve,

do pious deeds and show great might:
Are four ingredients that make A Muslim devout who shuns not fight

Humsaya-e-Jibreel-e-Ameen Banda-e-Khaki
Hai Iss Ka Nasheman Na Bukhara Na Badakhshan

With Gabriel trusted and steadfast this clay-born man has kinship close:
A dwelling in some land or clime for himself Muslim never chose.

Ye Raaz Kisi Ko Nahin Maloom Ke Momin
Qari Nazar Ata Hai, Haqiqat Mein Hai Quran!

This secret yet none has grasped  that Muslim Scripture reads so sweet:
Practising rules by it prescribed, becomes its pattern quite complete.

Qudrat Ke Maqasid Ka Ayar Uss Ke Irade
Dunya Mein Bhi Meezan, Qayamat Mein Bhi Meezan

The Faithful acts on aims and ends that Nature keeps before its sight:
In world he sifts the good and bad, In future shall judge wrong and right.

Jis Se Jigar-e-Lala Mein Thandak Ho, Woh Shabnam
Daryaon Ke Dil Jis Se Dehel Jaen, Woh Toofan

While dealing with friends and mates, He is dew that thirst of tulip slakes:
When engaged with his foes in fight, like torrent strong makes rivers shake.

Firat Ka Surood-e-Azali Iss Ke Shab-o-Roz
Ahang Mein Yakta Sift-e-Soorah-e-Rehman

The charm of Nature's eternal song  in Muslim's life, no doubt is found:
Like chapter Rahman of the Quran, Is full of sweet melodious sound.

FM
Last edited by Former Member

MALAIKA-E-TARANNUM: QUEEN OF MELODIES

MOVIE :

SINGER: NOOR JAHAN

MUSIC :  KHALIL AHMAD

LYRICS: ALLAMA IQBAL

12) THE VIDEO: HAR LEHZA HAI MOMIN KI NAYE SHAAN

http://www.youtube.com/watch?v=vFIDdoUh49Q

Har lehza hai momin ki nai shaan nai aan
Guftaar main kirdaar main Allah ki burhaan

Momin enjoys new galor and dignity every moment
He represents Allah in his character and speeches

Qahari-o Ghaffarri-o- Quddusi-o- Jabroot
Yeh chaar anasir hoon to banta main Musalmaan

Qahar, ghazffar qouddos and jabroot
a Muslim is made of These four elements

Humsaya-e Jibrail-e- ameen banda-e Khaki
Hai is ka naheman na bukhara na badakhsahaan

This man, who is made up of clay is the neighbour of the

revered angel Jibrail
Cities like Bukhara and Badakshaan are dwellings not

commensurate with his (Monin's) caliber

Yeh raaz kisi ko naheen maloom keh momin
Qaari nazar ata hai haqeeqat main hai Quran

No one knows this mystry of  momin
It seems he is just a reader but in actual he is Quran

Jis sey jigar-e lala main thandak ho woh shabnam
Daryaoon key dil dil jis sey dehel jaeen woh toofan

The dew drop which can cool the liver of a flower
The storm which can terrorise the hearts of rivers

FM

MALAIKA-E-TARANNUM: QUEEN OF MELODIES

MOVIE :  AFSHAN 1971

SINGER: NOOR JAHAN

MUSIC :  NAUSHAD

LYRICS:  TASLEEM FAZLI

13) KHUDA KARE KE MOHABBAT MEIN

http://link.songspk.name/artists.php?songid=2750

(Khudaa kare ki muhabbat mein vo mukaam aaye)2

With God's blessing, may my love attain such height that

Kisii kaa naam luun lab pe tumhaaraa naam aaye

Whenever a name comes to my lips, it will be yours

Khudaa kare ki muhabbat mein vo mukaam aaye

With God's blessing, may my love attain such height that

Tumhaaraa pyaar mere gesuuon kii ulajhan ho

Tumhaaraa naam say din ka charag roshan ho

Seher nazar se mile zulf lay ke shaam aayay

My morning is lit by your eyes and your dark beautiful

hair brings the evening to me

Kisii kaa naam luun lab pe tumhaaraa naam aaye

Whenever a name comes to my lips, it will be yours

Khudaa kare ki muhabbat mein vo mukaam aaye

With God's blessing, may my love attain such height that

Jahaan talak ye hansii gun-gunaatii raat chale
Nazar nazar se mile, dil se dil kii baat chale
Hamaare dil kii tarap aaj kuchh to kaam aaye

Today I will utilize the sorrows my heart has experienced

Kisii kaa naam luun lab pe tumhaaraa naam aaye

Whenever a name comes to my lips, it will be yours

Khudaa kare ki muhabbat mein vo mukaam aaye

With God's blessing, may my love attain such height that

Merii khayaalon kii tasviir huu-ba-huu tum ho

Mere huzuur nigaahon kii aarazuu ho tum
Isii tarah se nigaah uthe salaam aaye

Somehow let your eyes say salaam and come to me

Kisii kaa naam luun lab pe tumhaaraa naam aaye

Whenever a name comes to my lips, it will be yours

Khudaa kare ki muhabbat mein vo mukaam aaye

With God's blessing, may my love attain such height that

Trans: Ranjana

FM
Last edited by Former Member

MALAIKA-E-TARANNUM: QUEEN OF MELODIES

MOVIE : HUM MILEY PYAR MILA

SINGER:NOOR JAHAN/MEHDI HASSAN

MUSIC : NAUSHAD

LYRICS: TASLEEM FAZLI

14) AAP KO BHOOL JAAYEN HUM

http://www.youtube.com/watch?v=TvTz2Kd6Y1E

Aap ko bhool jaayen hum itne to bewafa nahin

I cannot forget you for cheating on me

Aapse kya gila karein? Aapse kuch gila nahin

What complaints can I have against you?... none

Sisha-e-dil ko todna unka to ek khel hai

This glasslike heart is like a game for you

Humse bhool ho gayee unke koi khata nahin

It was my mistake and you are blameless

Kaash wo apne gham mujhe de den to kuch sukoon mile

Had you given me your woes I would have been much relief

Wo kitna bad-naseeb hai, gam hee jise mila nahin

Lucky are those that do not get a heartache from you

Jurm hai gar wafa to kya, kyoon kar wafa ko shod doo

Crime of unfaithfulness, should I be loyal and forget?

Kehte hain is gunaah kee hoti koi saza nahin

There is no punishment for this crime.

Aapse kya gila karein? Aapse kuch gila nahin

What complaints can I have against you?... none

Aap ko bhool jaayen hum itne to bewafa nahin

I cannot forget you for cheating on me

Trans:

FM
Last edited by Former Member

Add Reply

×
×
×
×
×
Link copied to your clipboard.
×
×