MUNNI BEGUM: GHAZALS GALORE:
.
Replies sorted oldest to newest
quote:Originally posted by Nehru:
Asj Bhai, First time listening to her. Wha Wha shabash. Lovely indeed. Thank you for the pleasure.
Test:
MUNNI BEGUM: GHAZALS GALORE:
1) EK BAAR MUSKARADO
http://www.indiamp3.com/music/...ad.php?song_id=61739
Firdaus jhoom uthay faza muskura uthay
Tum muskura utho toh khuda muskura uthay
(Ek baar muskura do ek baar muskura do)5
Afsana-e-chaman ka unwaan hi badal do
Phoolon ka sar kuchal do kaliyon ka dil masal do
Aakash ki jawani baadal main moun chupaye
Mahtaab doob jaye taaron ko neend aye
Zohrajabeen pari rukh kamseen iman ho anjum
Ankhain sharaab aaheen jazbaat nay talatun
Hiltee hui labon par hansta hua tarana
Aye dil nawaz paidal khatir main hai zamana
Lab haye ahmaree per nikhree hui hai laalee
Yeh halki halki surkhi tasveer hai shafaq ki
Awara shokh zulfain rukhsaar choomti hain
Rukhsaar choomti hain baykhud hain ghoomti hain
Ho zist ka sahara tum mauj main kinara
Laikin suna khuda-ra ek baar muskura do
Ek baar muskura do ek baar muskura do
Zulmi, ek baar muskura do ek baar muskura do
Ek naujawan musafir fitrat kala ubalee
Ek aalam-e-junoon mai ek simt jaa raha tha
Jaisay keh apnay dhun main parbat pey chal raha tha
Zulfain keh muntasharfeen chehray sai muz-mail tha
Nazrain kehraahtee theen ek na shikast dil tha
Maazi ki ghoongaton main ek aks paa raha thaa
Guzra hua zamana phir yaad araha thaa
Armaan tarap rahay thay hasrat machal rahee theen
Betaab zindagani karwat badal rahi theeee
Gin gin taaray haye bechari
Gin gin taaray haye bechari
Chaen na aye ji ghabraye
Dekh toh kya hai kaun basa hai
Deeda-e-tarmin nich-e-nazarmi
Shisha-e-dinmi ankh ki tilmi
Dil ko jalana khel hai jaana
Dil ko jala kar aag laga kar
Khud bhi jalo gay haath malo gay
um sham-e-farozan ho khud bhi jalo jala do lekin
Ek baar muskura do ek baar muskura do
Zulmi ek baar muskura do ek baar muskura do
Tum jaana-e-muda'a ho ek husn-e-dil ruba ho
Itna toh main kahoonga meri hi iss ghazal ka
Rangeen kaafiyan ho ek baat tum sai poochoon
Bolo jawaab dogi yeh husn yeh jawani sarkaar kya karogi
Hoton ki muskurahat
Becho khareed loonga manzoor ho toh bolo
Anmol daam doonga laikin
(Ek baar muskura do ek baar muskura do)5
MUNNI BEGUM: GHAZALS GALORE:
THE VIDEO:
1) EK BAAR MUSKURADO EK BAAR MUSKURADO
MUNNI BEGUM WITH A FAVOURITE
http://www.youtube.com/watch?v=z6yigCsVX6U
Access to this requires a premium membership.